Baatil
Baatil hi baatil hae, haan sab kuch baatil hae
Umr bhar ki mehnat sae aakhir kiya haasil hae?
Aek pusht jati hae
to aek pusht aati hae
Aamd-o-raft
ka yeh silsila bhi baatil
hae
Waqt to chalta hae aur kabhi thamta hi
nahin
Yeh jo ik lamhah hae abhi, woh bhi baatil hae
Hansi labon peh jo aayay,
to rok lena usay
Paday jo soch maen, to
hansi bhi baatil hae
Lot kar nah aayay ga, yeh jane wala Unique
Yehan peh jo bhi aaya hae wohi baatil hae